25 June, 2024
This poem aptly describes the course of my first relationship.
Aahi gaya tha woh din jiska tha mujhe intezaar
Jis din ke liye duaien ki thi ro ke zaar zaar
Mujhe bhi milgaya tha koi jo mujhe maanta tha apna
Phir bhi yakeen nahi aata tha ye haqeeqat hai ya koi sapna
Kuch hi dinon main hogai thin saal bhar ki baatien
Hamari neend bhari guftugoo se kat gain thi raatien
Dono ke liye hi naya naya sa tha yeh silsila
Dilon ke baag main jaise koi phool tha khila
Faasla tau tha par doorie nahi thi dono main
Chup chup ke baatien karte thay apne gharon ke kono main
Aane waale kal ki baat karte hue katrate thay
Kyunke jaante thay dono ke mustaqbil mein kitne kaante thay
Jis mulaqat ke liye dono betahasha besabar thay
Usi mulaqat ke anjaam se dono bekhabar thay
Mujhe na jaane us din kya hogaya tha
Apne har kiye hue vaade se main mukar gaya tha
Woh tau utni hi khubsoorat thi jitna maine tasavvur kiya tha
Phir kyon maine nazrien churake uske har sawal ka jawab diya tha
Jo din banna tha unke liye bara yaadgaar
Usi din ko bana dia maine ghamon ka shikaar
Mere lafz meri binah pe chaahe larlein jitne mukadmein
Par mera nafs jaanta hai main hi saza ka haqdar hoon har had main
Yeh umeed tau nahi rakhta ke unse maafi miljaye
Bas dua karta hoon khushiyon se unka dil hamesha ke liye siljaaye
Comments